Nafs Par Kaboo … Itna Aasaan Nahi
Aasaan nahi apni nafs pe kaboo paana …
bade bado ne koshish ki … badi haar haare.
Phir bhi insaan koshish karta rehta hai …
shayad isi koshish mein hi uski asli aazmaish hoti hai.
— Humayunn Peerzaada
Aasaan nahi apni nafs pe kaboo paana …
bade bado ne koshish ki … badi haar haare.
Phir bhi insaan koshish karta rehta hai …
shayad isi koshish mein hi uski asli aazmaish hoti hai.
— Humayunn Peerzaada
Kabhi-kabhi ek kadwi baat saalon ki meethaas ko dhundla kar deti hai. Sawaal bas itna hai—hum kya yaad rakhte hain? Watch the short reel here: Listen to the full audio here:
Mumbai — ek sheher jo kabhi rukta nahi. Din ho ya raat, bazaar ho ya samundar ke kinare, har pal yahan ek nayi kahani likhta hai. Time-lapse photography ke zariye maine koshish ki hai ki is sheher ki rooh aur uski raftaar ko ek naye nazariye se capture karun. 2009 se lekar aaj tak, Mumbai…
Kabhi-kabhi duniya ko dekhne ka tareeqa badal dena padta hai. Mere liye woh tareeqa bana — TimeFrame 360° edits. Ye sirf reframed videos nahi hain, balki ek koshish hai visuals ko ek naye nazariye se dikhane ki. Kabhi festivals ki raaten, kabhi coastal rides, kabhi celebrations aur cultural lights — har frame ek alag kahani…
Meri maa, meri khala, aur kuch waqt tak mere papa bhi teacher rahe. Unhone mujhe ek sabak diya jo zindagi bhar mera hissa ban gaya: apni school aur apne teachers se kabhi rishta mat todna. Woh hamesha kehte the — apne teachers se milte raho, unka haal chaal poochte raho, khaaskar retirement ke baad. Kyunki…
गणतंत्र दिवस के इस मौके पर देश के लिए सम्मान और गर्व का एक छोटा सा प्रयास | Alag-alag bhav, par jazba ek — apna Hindustan apna Bharat.
Kabhi kabhi best style woh hota hai jo zyada try kiya hua nahi lagta. Clean fits, balanced colors, aur comfortable pieces — yehi is “Ultimate Glam Clean” look ka essence hai. Yeh collection un logon ke liye hai jo daily wear ko bhi classy aur presentable banana chahte hain — bina over-styling ke. ━━━━━━━━━━━━━━ 🛍️…