A devotee carrying a beautifully adorned idol of Goddess Durga during the immersion procession in Kolkata, West Bengal, as devotees gather to bid farewell on the occasion of Durga Visarjan.

Bengal bids adieu to Goddess Durga, Kolkata – India.

Shot at Baboo Rajchunder Doss Ghaut aka Babu Ghat.

Mera pehla safar Kolkata ka tha, aur kismat se us waqt mujhe apni zindagi ka ek unforgettable experience dekhne ko mila — Durga Maa ka visarjan. 🌺

Yeh meri pehli mulaqat thi is mahaan shahar ki roohani aur cultural energy se. Visarjan ke palon mein jo bhakti, junoon aur udaasi thi, usse maine apni aankhon se mehsoos kiya aur camera mein capture kiya.

Logon ka shradha aur sneh se ‘Bolo Durga Maa ki Jai!’ ki goonj, dhol ki thaap aur aakhri vidai ke aansuon ke saath aasmaan mein ghul gayi. Pahli baar Kolkata ke Durga visarjan ko dekhna mere liye ek ehsaas tha — ek kahani jo aankhon se dil tak utar gayi.

Document karte waqt laga jaise main bhi us bheed ka hissa ban gaya hoon, jo Maa se juda rehkar unhe phir se agle saal bulane ka vaada karti hai.

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *