Some gems from Sahir Ludhianvi Sahab’s treasure.
Sahir Ludhianvi (March 8, 1921 – October 25, 1980) was a popular Urdu poet and Hindi lyricist and songwriter. Sahir Ludhianvi is his pseudonym. He won the Filmfare Award twice, in 1964 and 1977, and in 1971 was awarded the Padma Shri.
Info courtesy – http://en.wikipedia.org/wiki/Sahir_Ludhianvi
——————————————————————————————————————————————
Ae shareef insaano – Sahir Ludhianvi
Khoon apna ho ya paraya ho
nasle-adam ka khoon hai akhir
Jung mashrik (purv) main ho ki magreeb (paschim) main
amne-aalam (vishv shanti) ka khoon hai akhir
Bam gharo par gire ki sarhad par
roohen-taamir (nirmaan ki aatma) zakham khati hai
khet apne jale ki auron ke
jist (jivan) faakon se tilmilati hai
Tank aage badhe ki peeche hate
kokh dharti ki baanjh hoti hai
fatah ka jashn ho ki haar ka sog
zindagi mayyato (arthiyon) pe roti hai
Jung to khud hi masla (samasya) hai ek
jung kya maslo ka hal degi
aag aur khoon aaj bakhshogi
bhook aur aihatiyaz (tashkand samjhouta) kal degi
Isliye, Ae sharif insaano!
Jung talti rahe to behtar hai
aap aur hum sabhi ke aangan main
shama jalti rahe to behtar hai.
——————————————————————————————————————————————
Gandhi ho ya Ghalib ho – Sahir Ludhianvi
khatam hua dono ka jashn (utsav)
aao, inhe ab kar de dafn
khatam karo tahzib ki baat, band karo culture ka shor
satya, ahinsa sab bakwas, tum bhi kaatil hum bhi chor
khatam hua dono ka jashn
aao, inhe ab kar de dafn (gaadh dena)
Woh basti woh gaanv hi kya, jisme harijan ho azaad?
woh kasba, woh shahar hi kya, jo na bane Ahmadabad?
khatam hua dono ka jashn
aao, inhe ab kar de dafn (gaadh dena)
Gandhi ho ya Ghalib ho dono ka kya kaam yahan
abke baras bhi katl hui ik ki shiksha, ik ki zabaan
khatam hua dono ka jashn
aao, inhe ab kar de dafn
——————————————————————————————————————————————
Badi taakatain – Sahir Ludhianvi
Tum hi tajvize-sulah (samjhoute ki yojna) laate ho
tum hi saaamane-jung baantte ho
tum hi karte ho katl ka maatam
tum hi teeron-tufang (bandook) baantte ho.
——————————————————————————————————————————————
Sadiyon se – Sahir Ludhianvi
Sadiyon se insaan ye sunta aaya hai
dukh ki dhoop ke aage, sukh ka saaya
Humko in sasti khsuhiyon ka lobh na do
humne soch samajhkar gam apnaaya hai
Jhooth to kaatil thahra , iska kya rona
sach ne bhi insaan ka khoon bahaya hai
Paidaish ke din se maut ki zad (Jakad) main hai
is maktal (vadh sthan) main kaun hamen le aaya hai
Awwal-awwal jisne dil barbaad kiya
akhir akhir woh dil hi kaam aaya hai
Utne din ahsaan kiya deewano par
jitne din logon ne saath nibhaaya hai.
——————————————————————————————————————————————
Katah – Sahir Ludhianvi
Tapte dil par yun girti hai .. teri nazar se pyar ki shabnam (os ki boonde)
Jalte hue jungle par jaise barkha barse ruk ruk tham tham.
——————————————————————————————————————————————
Na mooh chupa ke jiye hum, na sar jhuka ke jiye,
sitamgaro ki nazar se nazar mila ke jiye
Ab ek raat agar kam jiye, to kam hi sahi
yahi bahut hai ki hum mashale jala ke jiye. Sahir Ludhianvi
——————————————————————————————————————————————
Khwabon ke aasre pe kati hai tamam umr – Sahir Ludhianvi
——————————————————————————————————————————————
Sahir Ludhianvi — woh shayar jinki kalam ne mohabbat ko lafzon ka jadoo aur haqeeqat ko awaaz di.
Super post, Need to mark it on Digg
Hi, interesting post. I have been pondering this topic,so thanks for writing. I will likely be coming back to your posts. Keep up the good work
this piece of Sahir,s poetry should be taught in Indian and Pakistani schools. I am right now preparing a lecture on the horrific impacts of war and i am going to make this piece part of my lecture content.