Close-up of vintage typewriter keys spelling out “Rumi,” symbolizing inspirations drawn from the poet’s timeless words.

Rumiyat | Inspirations from Rumi through Visuals & Reels

Mawlānā Jalāl ad-Dīn Muhammad Rūmī ke alfaaz hamesha se dil ko choote aaye hain — unki baatein waqt, zubaan aur hadon se pare hain.

Meri koshish rahi hai ki un timeless thoughts ko apni lens ke zariye, visuals aur videos ke roop me capture karun.

🌿 Rumi Series (Instagram Reels)

Maine kuch chhoti chhoti videos banayi hain — har ek Rumi ke ek quote par based hai. Yeh videos maine is soch ke saath shoot kiye ki visuals un alfaazon ko reflect karein. Filhaal 5 parts hai, aur safar abhi jaari hai:

  1. “What am I to do”
  2. “You think the shadow is the substance”
  3. “My heart, I have seen how your tears turned into a sea”
  4. “When you let go of who you are”
  5. “We are as pieces of chess”

🎞️ Har video ek chhoti si duniya hai, shot with love, keeping Rumi’s quotes in mind.

📸 Rumi Inspirations (Flickr Album)

Visuals ke zariye bhi Rumi ko mehsoos karne ki ek koshish hai — mera “Rumiyat” album.

👉 View the complete Rumiyat Album (73 Photos) on Flickr

Rumi ke lafz sirf likhe hue alfaaz nahi, balki zindagi ke raaste hain. Aaj jab hum visuals aur reels ke zariye unko mehsoos karte hain, toh lagta hai jaise unka ishq aur roohaniyat waqt aur zubaan ki simaayein tod kar hum tak pahunchti hai.

Mere liye “Rumiyat” sirf ek project nahi, balki Rumi ke alfaazon ko mehsoos karne aur unhe tasveeron aur visuals mein jeene ki ek personal journey hai.

💫 Dua hai ke “Rumiyat” ke zariye har ek dil ko wohi sukoon, mohabbat aur roshni mile jo Rumi chhod kar gaye.

Yeh visuals mere dil ke bohot kareeb hain, aur copyrighted hain. Unki apni rooh hai — isliye unhe bina permission reproduce ya share nahi kiya jaa sakta.

© Humayunn Niaz Ahmed Peerzaada — All Rights Reserved.

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *