Humayunn Peerzaada standing fearlessly in the ocean waves — symbolizing courage, resilience, and the spirit of moving forward with the thought, “Lahron se ḍarkar nauka paar nahi hoti.

Lahron se darrkar nauka paar nahi hoti, koshish karne walon ki haar nahi hoti

Lahron se darrkar nauka paar nahi hoti, Koshish karne walon ki haar nahi hoti.

Nanhi chinti jab daana lekar chalti hai, Chadhati deewaron par sau baar fisalti hai.

Mann ka vishwas ragon mein saahas bharta hai, Chadhkar girna, girkar chadhna na akharta hai.

Aakhir uski mehnat bekaar nahi hoti, Koshish karne walon ki haar nahi hoti.

Doobkiyan sindhu mein gotakhor lagata hai, Ja jaakar khaali haath laut aata hai.

Milte na sahaj hi moti gahre paani mein, Badhta duna utsaah isi hairaani mein.

Moothi uski khaali har baar nahi hoti, Koshish karne walon ki haar nahi hoti.

Asafalta ek chunauti hai – sveekar karo, Kya kami reh gayi dekho aur sudhaar karo.

Jab tak na safal ho, neend-chain ki tyago tum, Sangharshon ka maidan chhod mat bhaago tum.

Kuch kiye bina hi jai jai kaar nahi hoti, Koshish karne walon ki haar nahi hoti.

📌 “Yeh kavita meri likhi hui nahi hai, ek lokpriya rachna hai jisse maine hamesha prerna li hai.”

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *