Happy World Photography Day — My Love Affair with Photography
Vaise toh unse waqfiyat pehle se thi … chup chup ke bahut dekhta tha. Magar san 2007 mein woh mere rubaroo hue. Nigahen mili aur main bas dekhte hi reh gaya. Kya jadoo tha un aankhon mein, ki meri zindagi hi badal gayi.
Us pyar, ishq, mohabbat ka junoon ho gaya. Yeh ahsaas hua ki duniya rangeen, khoobsurat aur behad haseen hai. Apne aap se pyar toh sab karte hain, lekin jis mohabbat se main guzar raha tha, usne mujhe auron se bhi pyar karna sikha diya.
Waqt ke saath mohabbat ek tarfa nahi rahi… mere ishq ki tapish mein woh bhi sarobar ho gaye. Aag dono taraf barabar lagi thi. Ab toh roz mulaqat na ho toh dono ko chain nahi milta. Din adhoora lagta hai, khaali lagta hai, jaise sab bekaar ho gaya.
Yeh toh tay ho gaya tha… ab jeena marna inhi palkon ke tale hai.
Happy World Photography Day to all of us.
For me, photography is not just an art or profession — it is a relationship of love, passion, and companionship. Since 2007, it has been my constant partner, my confidant, and my joy.
These portraits are not just images — they are glimpses of my journey with the lens. Each frame holds a memory, a bond, and a story of how photography became my forever companion.

