Happy Teachers’ Day

Meri maa, meri khala, aur kuch waqt tak mere papa bhi teacher rahe. Unhone mujhe ek sabak diya jo zindagi bhar mera hissa ban gaya: apni school aur apne teachers se kabhi rishta mat todna.

Woh hamesha kehte the — apne teachers se milte raho, unka haal chaal poochte raho, khaaskar retirement ke baad. Kyunki ek teacher ki zindagi ka bada hissa classroom aur staffroom mein guzarta hai — students ke saath, colleagues ke saath. Jab woh retire hote hain to unke liye apne naye jeevan ko adjust karna aasaan nahi hota, aur woh akelaapan unhe andar se kha jaata hai.

Maine apne teachers ke saath hamesha connection banaye rakha. Mere liye woh meri family hain. Main aaj bhi unse seekhta hoon, aur zindagi bhar seekhta rahunga. Mere sabhi teachers aur sir jaante hain ki main unse mohabbat karta tha, karta hoon, aur karta rahunga.

Specially, my deepest gratitude to all my teachers from Diamond Jubilee Girls High School and St. Joseph High School, Umerkhadi — jahan se meri taleem aur meri zindagi ki buniyad rakhi gayi.

To all my teachers — past and present — thank you for everything.

Marie Correia Teacher, Semi Teacher, Baker Sir, Kashyap Sir, Shyamala Ramani Teacher, Philomena Gonsalves Teacher, Charlotte Newnes Teacher, Punjani Sir, Dabir Teacher, Dalvi Teacher, Sushila Teacher, Anwar Sir, Schezan Mansuri, Amita Desai Teacher, Nasreen Khan Teacher, Rita Furtado Maam, Nigam Sir, Mistry Teacher, Philips Teacher, Ms Doyle, Ms Pinto, Ninan Chirappurathu Sir, Mrs Ghaswala, Mrs Talati, Ms Dogde, Ms Balsara…

Lastly, aap sab teachers ki shaksiyat ka main ek chhota sa ansh hoon.

Aur usi mein meri zindagi ki sabse badi taakat hai.

🌸 Happy Teachers’ Day. 🌸

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *