Lahron se darrkar nauka paar nahi hoti, koshish karne walon ki haar nahi hoti
Lahron se darrkar nauka paar nahi hoti, Koshish karne walon ki haar nahi hoti. Nanhi chinti jab daana lekar chalti hai, Chadhati deewaron par sau baar fisalti hai. Mann ka vishwas ragon mein saahas bharta hai, Chadhkar girna, girkar chadhna na akharta hai. Aakhir uski mehnat bekaar nahi hoti, Koshish karne walon ki haar nahi…