Aankh — Jazbaat ki Zubaan
Aankh — Jazbaat ki Zubaan
Aankhon aur dil ke jazbaat ko bayan karti ek khoobsurat nazm — kahi suni, kahi padhi, lekin dil se mehsoos ki gayi.
Aankh ek tarjuman hai Dil ki,
Aankh goya zubaan hai Dil ki.
Lakh parda fareb par daalo,
lakh chup rahkar baat ko taalo,
Aankh ko aankh tol leti hai,
Aankh se aankh bol leti hai.
Ye zubaan bankar raaz khol deti hai!
Kehar bhi isme, neend bhi isme,
pyar bhi isme, khumaar bhi isme.
Ye moujaza hai ya soze pinhaani —
ke dil mein aag aur aankhon mein paani. ✨
Aankhen … dil ki wo zubaan jo lafzon ke bina sab kuch keh jaati hain. Inmein aag bhi hai, aansoon bhi hain… khamoshi bhi hai aur mohabbat ka raaz bhi. ✨